"Imtihaan"



Gumo ko zindagi mein na kabhi aane dena,
Khushiyon ko laut kar vapis na jane dena,
Kabhi jo aaye mushkile zindagi mein,
Imtihaan samajh kar usse jane dena...

Haar kar na baithna zindagi se,
Jeetne ka haunsla kabhi mann se janne na dena..

Maana ki zindagi deti nahi sab kuch
Par kuch kho jaane ke darr se
In aansuyon ko na aane dena...

Comments

Popular Posts