"Anjaane Sawaal"

Kash Zindagi mein malal na hote,
Har kadam par anjane sawal na hote,
Chalti zindagi aise jaisa behta pani,
Samunder ki lehro ki tarah uchaal na hote...
Gairo ne to chhal kiya,
Kash aaj apne sath hote,
Chahte to hai hum vishwas karna,
Kash itne majboor ye halaat na hote,
Maana sikhati hai ye zindagi har kadam par sabak,
Kash hum itne nadaan na hote....
Shikhyat nahi ab to khuda se bhi,
Kash hum mein hi aise jazbaat na hote..


Comments
Post a Comment